जो था अपना वो गैरां क्यों है
रहता मैं परेशां अक्सर, की हयात हैरां क्यों है
वो परेशां है की,जो था अपना वो गैरां क्यों है
Mere khaabon ke shaadab sabzah zaaron ko
Mere khaabon ke shaadab sabzah zaaron ko,
yeh kaise mohabbat teri,jo jala jaati hai
Lagayaa samajh ke jisey marham hamney
kyon wahi mere zakhmon ko rula jaati hai
Uda ke chaadar-e-ehsaas-e-mashooq,naseem-e-subho,
shab-e-gham ke baad,hame aksar jhula jaati hai
Uthti hai hasrate lekar angdaaiyan sahar hone par
khayaal-e-wahshat teri,thap thapa ke sula jaati hai
Kar intzaar kuch aur sanam
Kar intzaar kuch aur sanam,ye waqt badal jaayega
tarq kar lehro ko ,samundar kinaro ka ho jaayega
Hazaaron numaaishey hain aasman mein,magar
chod sabko falak ,sitaaron ka ho jaayega
Lele lutf-e-suroor-e-tap-e-hijaraan aaj,ki rut badlegi
har sulagta ehsaas tera ,havaa-e-bahaara ho jaayega
Pur hongey chasm haya se,haathon me tere heena hogi
jab aazad hardum ke liye sirf tumhaara ho jaayega
Sabab-e-marz-e-dil
Sabab-e-marz-e-dil ,kaafir ki shokh nazar hai,
na duaa koi , na davaa asar hoti hai.
Khwaab qeemati hai ,mubaalage bhi mujhe,
ab to in aankhon ko neend bhi nahi muyassar hoti hai.
Faiyaaz tazheek-e-aashnaa se nawaaza jaata hoon aksar,
laal aankhon ke hawaale,kaise kahoon ki,
akhtar shumaari me ab meri raatein basar hoti hai.
Aab-e-maikada
Zhiyaan kuch aisi hui hamse zindagi
ki hame tarq kar gayi
Mere,har guzar ki manzil maikada bani
aab-e-maikadey mein mujhe garq kar gayi
Mere chain-e-dil ke dil ko chain nahi
Mere chain-e-dil ke dil ko chain nahi
voh sochtey hai ki hum bechain nahi
Hota hai ehsaas-e-viraanii-e-hayaat,`aazad`
har karvat pe,bagair uskey katati ab rayen nahi.
Shikwaa-e-maashooq
Shikwa-e-mashooq, ki nahi chalta jor unka hampe
hame yeh shikaayat ki voh aazmatey nahi hame
Aarzoo-e-saahil ke sahare
Sohabat-e-nakhuda-o-Niamat-e-khuda le utre,
dariya-e-ishq me hum,tooti kashti ke sahare.
Toofan-e-havaadis me bikhar gayi kashti,nakhuda ka pata nahi,
ab ugtey dubtey tairey ja rahe hai,aarzoo-e-saahil ke sahare.
Aye zebaa ,yeh nazar-e-shokh
Aye zebaa ,yeh nazar-e-shokh,yeh lab-o-rukhsaaar,kiskey liye,
lab-e-khaamosh ke peeche ,yeh fehrist-e-istefsaar kiskey liye.
Ishaaro me sab kar rahe hai baatein,koi hame bhi bata de
nisaar hua tera chain-o-karaar,hai dil bekaraar kiskey liye.
Dil mein surat-e-yaar
Dil mein surat-e-yaar,labo pe khaatir sanam ke,
har lamha,dua-e-umr-e-daraaz rakhtey hai
Hai bahut pyaar par bekadaree dikhaatey hai,
hum aam mein, aabroo-e-yaar-e-lehaaz rakhtey hai

Recent Comments