tujhpe padi nazrey jo,aye purya-e-paak
har chasm anjuman mein gunaahgaar ho gayi
har ada pe ,nikalti hasrate hazaar,fera jo rukh tune ,
hasrate-e-hazraat saari ,figaar ho gayi
Daur-e-deewangi chali, tera juda khulney ke baad
fiza-e-bazm saari, nikhat-e-zulf-e-nigaar ho gayi
pur aashob tabassum hotho pe liye,jo basar uthi meri or
ekhlaaq-o-farz bhula sab,rooh-e-aazad bhi teri talabgaar ho gayi
Laut aaya main chod kar jannat,
saaki, tu hayratzadah na ho
kis kaam ki voh jannat,
jaha sirf tishnagee ho
aur tera maiykadah na ho
Mazhab ke naam pe bashar me yeh kaise junoon dekha
har saksh ke girebaan pe kisi na kisi ka khoon dekha.
Khudaaee jo thi aadam ke daur mein rashk-e-jinnan
jab dekha `aazad` ne , har taraf kusht-o-khoon dekha.
Har zarra hai mazhar uska,sab uska hi karam
phir yeh dayr-o-haram kis kaam kay
Azal se suntey aaye hai kissa-e-azaab-e-aadam
faisla hota hai gar,har kaar ka, isi farsh pe
phir yeh dozhak-o-iram kis kaam kay
Band kar waaiz tu hamd apna,rehney de `aazad` ko rind
jo na de sake dil ko sukoon,aise bharam kis kaam kay
(translation available in comment)
Meenah ki qulqul me nidaa-e-rab sun li,tho kya gunaah kiya
Bekhudi me dhoondh li khudaai maine,tho kya gunaah kiya
Rindo ko jaana qaasid uska ,rindee ko imaan ,tho kya gunaah kiya
Qays sa muhibb ki parashtish kar li,tho kya gunaah kiya
Hawas-o-nafs,itaab-o-rashk,naaz,sab zewar iblees ke
keh keh kar vaaiz ne aagaah kiya
insaan hoon,khuda tho nahi,gaahe-ba-gaahe pehan liya inko,
tho `aazad` bata ,kya gunaah kiya.
(translation available in comment)
Jisey samjha main Daulat-kaadah,tu samjha kharaabah
Jaha dekha sang maine ,tune dekhaa kaabah
(An attempt to bring out the fact that,beauty lies in the eyes on the beholder and things are percieved differently by different people)
(translation available in comment)
Recent Comments