Parashtish-e-husn
parashtish-e-husn fidrat-e-aazad nahi,sanam
sazda kiya ta-umr hamne, dar-e-maikadhey pe
parashtish-e-husn fidrat-e-aazad nahi,sanam
sazda kiya ta-umr hamne, dar-e-maikadhey pe
Laut aaya main chod kar jannat,
saaki, tu hayratzadah na ho
kis kaam ki voh jannat,
jaha sirf tishnagee ho
aur tera maiykadah na ho
Kya khoob `aazad` teri baadaparasti dekhi
Chalka jo saagar,teri aankh chalakti dekhi
Chut kar gira jab jaam haathon se,
Wahi aankhen barasti dekhi
Aab deedah aankhen,thi saaki ko dhoondhti
Jab na nazar aaya voh ,teri rooh tarasti dekhi
Tu kya chup hua,mehfil khaamosh ho gayi
Saagar ke tukdey dekh farsh par , teri hasrate sisakti dekhi
Phir dar-e-maikadey pe ek dastak aayi
Kahi saaki tho nahi,kehna kaafi tha
ki teri aawaz, phir khanakti dekhi
bahut dekhe baada-parast duniya mein
nahi tujh si kisiki baadaparasti dekhi
Meenah ki qulqul me nidaa-e-rab sun li,tho kya gunaah kiya
Bekhudi me dhoondh li khudaai maine,tho kya gunaah kiya
Rindo ko jaana qaasid uska ,rindee ko imaan ,tho kya gunaah kiya
Qays sa muhibb ki parashtish kar li,tho kya gunaah kiya
Hawas-o-nafs,itaab-o-rashk,naaz,sab zewar iblees ke
keh keh kar vaaiz ne aagaah kiya
insaan hoon,khuda tho nahi,gaahe-ba-gaahe pehan liya inko,
tho `aazad` bata ,kya gunaah kiya.
(translation available in comment)
jo bhi aaye teri bazam me saaki, sab bhale gaye
ik hum hi they jo ladkhadate chale gaye.
makhmoor `aazad` ko jo diya sahara tune,
tardaaman tera akhlaaq dekh,muhazzab sab,
sharmsaar ho,mehfil chod, chale gaye.
Na utha mina mez se ; aye saki ,abhi saagar me ,jaam baaki hai
shuri hui hai abhi kahani unke kasme vaadon ki,daastan-e-bewafai,abhi baaki hai.
kyon ja rahe hai log,chod kar mera jalta jism,
koi roke unhey,mere armaanon ki chita jalni,abhi baaki hai.
gulistaan gulaab ka
aasman aaftaab ka
aatey hai saikdo maykash
“aazadh” tere maikade me
hain kaun aashiq mujhse bada
tere is rangeen aab ka
choom lo labo se apni,
tho chameli gulab ban jaaye,
pila dey jo too hotho se apne paani,
paani sharaab ban jaaye,
nakaab gira ke na nikalna,
purnam ki raat ko,
do chand dekh ke kahi ham
hairaan na ho jaaye.
zikr-e-nasha-e-sharaab,
khatam ho jaati hai,
tere zikr ke baad,,
tauba tod deta hoon,na peeney ki,
terey zikr ke baad,,
kya bayan karoo tere husne sharaab ka,
dikhti hai bas teri hi surat,,
chadhney se pehley,
utarne ke baad,,
shabnam jo girti hai,
shab-e-mehtaab mein,
aam hai,
simat kar terey gesoonwo mein,
tapakti hai jab,
har boond jaam hai.
Recent Comments