Aarzoo-e-saahil ke sahare
Sohabat-e-nakhuda-o-Niamat-e-khuda le utre,
dariya-e-ishq me hum,tooti kashti ke sahare.
Toofan-e-havaadis me bikhar gayi kashti,nakhuda ka pata nahi,
ab ugtey dubtey tairey ja rahe hai,aarzoo-e-saahil ke sahare.
Aye zebaa ,yeh nazar-e-shokh
Aye zebaa ,yeh nazar-e-shokh,yeh lab-o-rukhsaaar,kiskey liye,
lab-e-khaamosh ke peeche ,yeh fehrist-e-istefsaar kiskey liye.
Ishaaro me sab kar rahe hai baatein,koi hame bhi bata de
nisaar hua tera chain-o-karaar,hai dil bekaraar kiskey liye.
Dil mein surat-e-yaar
Dil mein surat-e-yaar,labo pe khaatir sanam ke,
har lamha,dua-e-umr-e-daraaz rakhtey hai
Hai bahut pyaar par bekadaree dikhaatey hai,
hum aam mein, aabroo-e-yaar-e-lehaaz rakhtey hai
Arsh-o-farsh wahi
Arsh-o-farsh wahi,shaam-o-sahar wahi thi
absaar wahi they mere,par voh,kaynaat na thi
Dardshanaasa they hum,alam-o-azaab yaar they
voh aehd tha aisa,jab hasrat-e-hayaat na thi
Kasoor-e-shama bas itna ki

Kasoor-e-shama bas itni ki jalana sifat uski,
Lab-e-shama ko chumney ki parvaaney ne khata ki.
Karney ko saabit , wasf-o-siqaahat apni,
ishq ne harbaar kurbaan hokar keemat ata ki.
(image courtesy original uploader)
Bark ne ujada jis chaman ko
Bark ne ujada jis chaman ko ,na kar usse bahaar ki baatein,
bekas dil se na kar dost, yeh chain-o-qaraar ki baatein.
Raah-e-mohabbat ki nawaazish hai yeh chaale mere,
kasam-e-khuda tujhe,na kar dar-e-yaar ki baatein.
Aziyat-o-sabr se bahut,joda hai is dil ko maine
na kar issey aur izhaar-o-ikraar ki baatein.
Taaza hai zakhm abhi, us sitamgar ke vaar ke,
`aazad` ,ab aur na kar,mere ishq-o-dildaar ki baatein.
Husn waalon ko khuda se
Husn waalon ko khuda se, kuch aisa qaatil fan mila,
hai gavaah zamaana,har baar dar-e-husn pe ishq dafan mila.
Dil bhi tuta hamara,aur hum hi ruswaa hue,
na mili do gaj zameen ,na kafan mila.
Zinda rahe jab tak na ghar mila,
mar ke bhi dar badar bhatke na madafan mila.

Recent Comments